Bin wajay dil ko dukhaey jaa rahe hai..
anginat aanso bahay jaa rahe hai..
umer bher jiski khuwahish kerte rahe
aaj who hi lamha gawaane jaa rahe hai.
who kehte hai "kisi k jaane se koi farq nahi pedta"
isliye wajood apna mitaey jaa rahe hai.......
hui doori ab itni k laut bhi nahi sakte
bebasi main sirf pachtaey jaa rahe hai..
intaha-e-safar yeh yaad aaya , jald baazi main hum
kuch yaadien aaj dil main bhulaey jaa rahe hai....
Wednesday, May 7, 2008
Subscribe to:
Post Comments (Atom)

No comments:
Post a Comment